Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga Lyrics
By Anish Sabri

Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga Lyrics

Title: Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga Lyrics
Naat Khawan: Anish Sabri
Categories: Qawwali
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga,
Koi dekhe na dekhe par Khuda to dekhta hoga...

Ye gathri paap ki sar par liye firta hai kyun nadan
Bhalai se Tu munh ko mod kar baitha hai kyun nadan
Ye Duniya char din ki hai fir iske baad kya hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

 Abhi jitna bhi ji chahe Lagale Aag pani mein
Ek aesa waqt bhi aayega Teri zindagani mein
Na hoga koi Tera bas Usi ka aasra hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Zara Daulat jo hath aayi hai to magrur ban baitha
Dile Insaniyat ke waste nasur ban baitha
Khabar bhi hai Tuje ek Roz Tera khatma hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Yaha se zindagani Teri khali hath jayegi
Fakat karni Teri Duniya se Tere sath jayegi
Waha ke waste bhi kuchh na kuchh to sochna hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Ye angare na chun Tu Apna daman fulon se bharle
Abhi baki hein kuchh din zindagi ke nekiyan karle
Bahot pachhtayega ye waqt bhi jab ja chuka hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Na izzat kam aayegi Na Shohrat kam aayegi
Na Daulat kam aayegi Na Takat kam aayegi
Are Nadan socha hai Tera anjam kya hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Burai boj ban kar Tere sar par aa padi hogi
Tere Dil ki siyahi samne Tere khadi hogi
Teri bechargi par Tera saya has raha hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Jawani ke ye din ek roz Tujko yaad aayenge
Tere aamal Tujko khun ke aansu rulayenge
Akad kar chalne wale Tu sahara dhundhta hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Na hamdam aur na ye Apne begane sath jayenge
Na Duniya aur na Duniya ke khazane sath jayenge
Mano Mitti ke niche qabr mein Tu so raha hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Duaon se agar daman ko bhar leta to achha tha
Kabhi is baat par bhi gaur kar leta to achha tha
Dua fir kya karega jab Khuda ka samna hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Kabhi iman se munh modna achha nahin hota
Ke Insanon ke dil ko todna achha nahin hota
Ye darpan tut  jayega to mushkil jodna hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Musalat Gulshane Hasti pe wirani nahin hogi
Khuda ke nek bandon ko pareshani nahin hogi
Ke inke waste Jannat ka darwaza khula hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...

Na hargiz Tum kabhi mazlum ki aanho se takrana
Jahan tak ho sake ahle zameen par Reham farmana
Ke Haqqe Aadamiyat yunhi Aye Kaisar ada hoga
Bhalai kar bhala hoga Burai kar bura hoga...